Friday 18 October 2013

Jab aadat si ho gayi

Tujhse aakhir poochun bhi kya imtihaanon ki jab aadat si hogayi,

Khuda tujhe yaad toh hoga mera baat baat pe ghabra jaana.

Befikri se ab yaari si hogayi hai,

Ke yaad aata toh hoga mera tujhse mannaten manana..

Monday 8 July 2013

Dilli ki Baarish -Part 1

Aur ek marhoom sa kissa guzre zamane ka aur dilase detin parchhaiyaan,
Aur wo jhuki nazren, naqabon me chehre dhoondhti tanhaiyan.
Aur ye baarish ki boondon se jhagadti hawayen, Hawaon ki rawaniyan,
Andheri shaam ke ishare, yaadon ke jungle me khulti khidkiyan.
Kisi purani gazal ko gungunata wo kona, Geeli boondon ki wo sheeshe pe athkheliyan,
Koi tha zaroor yahan per yaad nahi aata, sapno me dekha tha ya padhi thi kabhi kahaniyan.....


Saturday 27 April 2013

Jaise Koi Aur..



Ye awaazen kuch yun sunai deti hain ke paas kahin koi shor ho,
Deewaron ki shaksiyat ab yun dikhai deti hai ke kabhi na khatm hota bemana chhor ho.
Raat kuch ummedon ka vada mujhse har roz karti toh hai, ke shayad kabhi kuch sach ho jaye...,
main har baar usse ek sawal poochu aur har baar wo mujhe bahlaye.
Sambhaal ke rakhi hain wo sari kacchi dhune, guzarte raaston me seetiyon se jinki dosti thi,
un thokron se, un patthron se, zameen ko chidhate safed baadalon se, hawayen jinhe aksar kosti thi.
Kabhi ek khayal aata hai kahin door chale jaane ka,
gum hoti roshni me simatne ka,chalte chalte kahin kho jaane ka.
Muskurate un lamhon ko mud kar dekhnakabhi accha bhi lagta hai,
choo lene ka man karta hai kuch yaddon ko,takiye me chupa ke guma dene ka man karta hai.
parchaiyaaon me chupe jane pahchane chehre pahle bhi the, un pahchane se chehron se ab  jhaankti hain parchiyan,jaise koi aur ho.
dost, tu khud ko shayad kabhi samjha hi nahi, sawal na koi jawab aakhiri mod tak.,
Annkho me teri wo massomiyat aaj bhi hai, par zehan me yaad yun hai ke jaise ahsaano ka koi daur ho....

Monday 25 February 2013

Chale Gaye..


wo dilon me aawargi ka junoon rakhne wale chale gaye,
aasmanon se athkheliyan karne wale ab chale gaye,
Aankho me wo shararat,Kadmon me nasha,
wo har baat pe gale lagane wale chale gaye,
Dopahar ki rahguzar,raaton ki kahaniyan,
Kacche pakkekuch khwab, mastiyon ki rawaniyan.
Haathon me haath daalke yaariyan nibhane wale chale gaye,
Jaane kiti ladaiyan, Jhagde wo chuchap khaamoshiyaan,
Wo rooth ke khud phir mana lene waale chale gaye,
Mile the jaise saare kisi anjaane mod per,
Wo yaadon se kisse chura lene waale chale gaye.
Mujhe wo roz bhool jaane se lagte the,
Baaton baaton me yaad aane waale ab chale gaye..

Sunday 24 June 2012

kabhi...


Kabhi yun bhi hota hai ke jee leta hai dil jhooth me is qadar, 
ke pad jaati hain kam sach ki tamaam daleelen, tamaam darkaaren, 
khud se kiye vaade, wo mausam, wo baaten...,
Yaadon ke saaye hojate hain paraye,Rah jaati hai apni parchaai ,soona sa ek kona ka aur jaani pahchani tanhaai.......

Waqt


waqt ki wo haseen kahaniyaan, Guzre wo lamhe, lamho ki ravaniyaan..
khayalon me khwaab, khwabon me parchaaiyan, parchaiyon me kai chehre..
Chehron me ruswaiyaan...
Kitna kuch badal gaya hai, baarish, mausam aur alfaaz bhi...
Kisi purani dhun ko gungunane ki awargi, saaz koi chedne ka andaaz bhi.
mujhe yaad aata hai kaagazon se choti naav banana, bade kisi ped ki pattiyon se apne sapnon ki patwaar banana.
phir yun hua ke raaste me kuch log mil gaye..
kuch door tak saath chale, kuch adhoore safar me mud gaye.
wahin kuch doori pe sawaal mile, thoda aur aage jaane per jawaab,
shayad kisi ne poocha tha mujhse meri har hansee ka hisaab.
likhi thi jaane kitni kitaaben....hoti the jab din laajawab
Rakhe the kuch rangeen moti takiye ke neeche, dosti aur pyar ka ruh-e-aab.
wo kahte hain log ke samajhdaar bano, zindagi ki tasveer aisi hi hoti hai.
jaane kaise jee lete hain kahne waale jinki apni deewaren rangon se khaali hoti hai.
Wo kahte hain ke accha likh lete ho, kaccha hai magar alfaazon ka tarana.
Kaash ke seekha hota kuch bhi nahi maine, na baaten jahan ki, na ummedon ka fasana.


Sunday 5 February 2012

Kal....

Kuch pal saath tumhare yun beete, ke choo kar nikal jaati hai hawa.
kuch baaten tumse yun hui ke jaise khushbu,baarish aur bheeg jaane ka sama.
Kuch ishaare, Kuch bahaane, choti ladaiyan, jhagde purane.
Mujhe kuch kahna hai tumse,kabhi na kabhi toh sahi..,
Shayad tum sab jaante ho, ya phir main kuch bhi nahi......