Thursday 23 June 2011

'Baarish' Ab bhi ho rahi hai.........


Beeti raat ko paani baras toh raha tha, socha accha hai tapti zameen ko bhi rahat milegi.
Mahsoos hone lagi  zara thand raat ke teesre pahar me. dekha toh baarish tez ho chali thi. 
Pahli barish, saundhi mitti, hare bageeche aur ranbirange jangli phool,
Aur ped ke patton per padi boondo ko haatho me uthane ka  bachpana karti main. 
Inhi betuke khwabon ki gahma gahmi se bahar aayi toh subah ke 7 baj rahe the. aakhir agaya mausam naye mehmano ka. 
Wo saare, jo saal me sirf  ek bar mauka dete hain zindgi ko kudrati taur se jeene ka.
Khaali gamlo me naye paudhe lagaungi,aur intezar karungi besabri se har roz us pahli kali ka jo muskurati hui khilegi. 
Phir kabhi yun bhi hoga ke thodi baarish aur thodi dhoop hogi. 
Phir jaise hi niklenge  log apni apni chhato per, mohalle ke baccho ka shor batayega ke dekho aasman me 7 rango ka indradhanush aya hai! 
Aur wo indradhanush hum badon ke pheeke chehron per bhi le ayega ek muskaan....:)
Phir kuch din baad baarish itni acchi nahi lagegi , sunai dene lagegi aawazen ki ''baarish toh roz hoti hai'', ''najane kab rukegi''.
Kitne dino ka intezaar hai baarish ke peeche jante ho na? 
Phir 2 din baad hi kyun kahte hain hum,''hey bhagwan aaj toh baarish mat karna''...!
Kya baarish ko bura nahi lagta hoga??? Aur kya bhagwan ko nahi?? Jo hamari ulahna sunte sunte tang ho gaya tha ke 'kab karoge baarish bhagwan'??
Bolo! Jawab do!!
Khair.....,
Phir kuch naya hoga ek din.., school se laut rahe bacchon ke beech khel hoga dhoondne-chupane ka.
Us choti 'beerbahuti' ko, jo apni makhmali peeth ke saath itraati inhi dino aati hai.
Sadak ke paani ke paas, geeli mitti me chupti-chupati, ya pedon ki pattiyon ke beech. 
kahin bhi mil jati hai befikri se ghoomti hui.
Ab hari ghaas per dikhai dega uska laal rang aur har jagah bacchon ke jhund ke beech ghabraai si, simti hui beerbahuti.
Nadi, Jharne,Taalab, Bageeche jo sookhe aur veeran they kab se, ab wahan  roz log aya karenge,  
log,  yaani ki har tarah ke log.
Baarish ke paani me nahane ka lutf uthane wale log, 
AC se oobey huye, baarish ki nam hawa masoos karne aur hariyaali dekhne ko bechain log,
Bacchon ko ghumane ka bahana karke bachpan ko yaad karne wale log. aur...,
Mujh jaise bhi log jo baarish ka saal bhar intezaar karte hain taaki bachpan me jaane kitni hi copiyaan phaad kar jo naav banana seekha tha, un copiyon ko 'shraddhanjali' dene ke liye kam se kam ek naav toh phir bana ke tairayi jaaye...;)
Kya pata, har ek tairti naav ke saath ek ek sapna bhi paar ho jaye..,
Zindagi ki aati jaati lahron ko samajhna aur unse ladna bhi shayad is bahane aa hi jaaye...
Baarish ab bhi ho rahi hai aur baarish ka mausam toh abhi rahega in sab baaton ke haqiqat me badalne tak.
Main bhi kitna kuch soch leti hun ye jane bina ke zindgi mere khayalon se toh nahi chalegi. hai na?
Har mausam ka apna rang hai. .Sunahra,Neela, Hara, Chamkeela..Rangbiranga.
Per is mausam me koi rang nahi hai. ye paardarshi hai, aur Geela.
Jahan paani barsega,ho jayega usi rang ka. saaf kaanch jaisa....ya fir matmaila.
Main ab bahar dekhti ja rahi hun aur likhti jarahi hu. baarish ke saath saath meri kalam bhi chal hi rahi hai.
Per kitna likhu..., baarish toh ab bhi ho hi rahi hai.
Ab khayaalon ki sargam chup ho gayi hai mere mann me aur ek chai ki kami mahsoos ho rahi hai.
Dekhti hun bahar baarish ruke toh kaagaz aur unper bikhre apne shabd sametu.
Per aaj in boondon ki gungunahat nahi rukegi 'kaarigar', kyunki barish toh ab bhi ho hi rahi hai.........

Friday 10 June 2011

'Wo' aur 'Wo'

Yun milna hota tha unka, jaise har raat ke baad sawera.
Baarish ki wo boonden aur jana pahchana baahon ka ghera..,
sahme sahme se dono rahte , kabhi rooth jaate kabhi manate..,
hoti thi unki raaten bekarar, karne ko jaane kitni hi baaten...,
phir hone lagin zehmaten wo itne kareeb aagaye,
zafaayen fir itni hui, dooriyon ke baadal cha gaye...
Wo rooth gayi phir ek din, ke wo usey manayega...,
per chala gaya wo bol kar, ke phir kabhi nahi aayega..,
Berukhi ko odh kar, andar se dono ghut te rahe.,
muskurate jhooth me takleef dil ki sahte rahe...,

Aaj itna waqt hua, dono ko door rahte huye..,
chahat ab bhi zinda hai, darte hain ye kahte huye.
Sach hi hai ke waqt aata nahi laut ke, jo kabhi beet gaya hota hai.,
aur Ishq wo roohani mazhab hai doston jo Insaano ke bass me kahan hota hai.....



                                                                                   

Tuesday 26 April 2011

Kataar..


Insaan ki bebasi dekhni ho to dekhiye koi 'kataar'
bijli ka bill bharna ho ya  karna ho shadi samaroh me vyavhaar..
ek ke peeche ek khade hon kai log to samjh lijiye yahi hai kataar.
insaan ki sabse badi pareshani or jhunjhlahat ka saakshat pramaan,
dhakka maar maar ke bhi sunte rahiye ''aap kataar me hain shreeman''
school ki prayer me kataar, college ki library me kataar.
paanipoori ke liye kataar aur multiplex ke popcorn me bhi kataar.
Sangharsh ki seema to dekhiye ke bhagwan ke darshan me kataar aur
Sarkari sulabh suvidhaon me bhi kataar.
kataar choti dekh kar, apni baari aane ka hausla aajata hai,
lambi ho agar kataar to kuch der baad kataar, kataar nahi yuddh ka maidan ban jata hai.
Dhakka kyu derahe ho? zyada jaldi ho rahi hai tumhe?
arey ye auraten beech me ghus rahi hain, yaar zara hatao inhe!!
bade aam se alfaaz kabhi gaaliyan ban kar baras padte hain,
kataar ka kamaal dekhiye, kya padhe likhe or kya anpadh sab jaanwaron ki tarah jhagad padte hain.
kataar me hoti hai baaten jaan pahchan,dushmani or yaari ki bhi.
sarkaar,cinema,bazaar or yahan tak ke tarkaari ki bhi.
umar chahe jo bhi ho, kaam chahe jo bhi ho, kataar to lagani hi padti hai
toot ke bikhar jaye kataar to jaan lijiye ke aksar police bhi bulani padti hai.
khair jo bhi ho,jaisi bhi ho, kataar aakhir khatam ho hi jati hai.
aur samajhdaar log kahte hain ke har kataar har bar kuch naya sikha hi jati hai....



Friday 22 April 2011

Foodie sentiments...


Zindagi kuch yun ho chali hai jaise bina tadke ki daal.
Jaise sher ke upar Gadhe ki khaal.
Jaise bina masale ka plain dosa..,
Jaise bina chatni ke  samosa..
Lagta hai ki jaise kuch ahoora hai,
zindagi aur kuch nahi, nonstick pan per bana vilayti bhatoora hai.
Pahle the yaaron American Chopsy jaise thaath.
per ab to hai jaise simple wali aloo chaat.
Nahi milegi Finger chips cheese sandwich ke saath., ye main kaise maan jaaun.??
Paav Bhhaji bina butter ki?? bolo aakhir kaise kha jaaun..??
Dil mera karta hai CCD ka Litchi Thanda pee aaun.
shimla wale creamy momos khaane jaldi se bhaag jaaun.
Ghalib ye kaisi majboori hai ke Maggie se kaam chalana pad raha hai,
aisa lagta hai jaise  pineapple shek ke beech me pineapple ka chilka muh me aaraha hai.
bas ab yehi tamanna hai ke zindagi fir se line per aajaye.
Ghalib kuch aisa ho ke Mango frooty se  meri straw red sula wine me aajaye.;)


Sunday 17 April 2011

Yaad


soona soona ye gulshan hai, gumsum se phool hain.
ruswaaiyan ujaalon me hain, tanha chirag hai.
rang bhi ab toh paas nahi hain, khaali ye haath hain.
hansna bhi chahu main agar na rooh meri saath hai.
yaar mere kuch begaane the, sab kuch hi le gaye.
mujhse rukna rukna   kahkar khud hi chale gaye....

Thursday 14 April 2011

Shayad Kuch Badal Jaaye..



yunhi sochte huye ye din kat jata hai,
ke shayad kuch badal jaaye.
wo din mere wapas aajayen, raaten meri phir laut aayen.
wo befikri jeene me, wo har waqt muskurana,
hazaron khwahishen dil ki, aur har khwahish ka poora hojana.
Ummeeden itni badi nahi hoti thi meri us waqt,
hota tha bas kabhi dil ka machal jana.
betuki meri wo hansi or bewajah mera rooth jaana.
kitni baaten hoti thi aur kitne sawal hote the,
sab kuch accha lagta tha aur saare jawab mil jaate the.
chalte chlate gir jaana or gir ke phir sambhal jaana.
galtiyan karte rahna aur karke phir bhool jaana.
sab kuch aisa lagta tha jaise ke behad aam hai.
kaha karte the sab yahi ke jeena isi ka naam hai.
wo waqt ab raha nahi ke yaad un lamhon ko kiya jaaye.
per sach ye bhi hai ke yaad muqammal hoti hai, isse bachker bhi akhir kahan jaayen.
vaade ab nibhane ke liye nahi hote, na dosti na kisi rishte ka koi bharosa hai,
kis kis pe ilzaam lagaoge 'ghalib', jaante ho jab ke saara zamana hi aisa hai.
khushi ab kahan hoti hai aankhon me aur kahan hota hai khushi ke aasuon ka aana,
Rona to ab bhi aata hai kisi kisi baat pe, per log banate hain aankh me kuch gir jaane ka bahaana.
Kabhi zindagi se itna maang lete hain log, ke khud zindagi hairaan hoti hai,
hairaani ye nahi ke maanga hai sab apne liye,taajjub ye hai ke usme bas insaaniyat nahi hoti hai.
har shaks ka apna makaan hai apni apni sabki gali hai,
Ghar ab koi banata nahi,'ghalib', duniya badi peshewar ho chali hai.
mujhe shauk aata hai ke 'kaarigar' duniya ka ab zara yahan tahal ke dikhaye,
per yunhi sochte huye shayad uske bhi din guzarte honge 
ke shayad kuch badal jaaye...

Wednesday 13 April 2011

Koi aur bhi...

Dekhta hoga koi aur bhi is aasma ko mere saath,
yunhi in baadalon ka is paar se us paar aana nahi hota.
Karta hoga koi meri hi tarah raaton me sitaaron se baaten,
meri khidki se warna  kisi taare ka aksar toot jana nahi hota.
meri tarah khwabon ki roshni me rahta hoga zaroor koi,
gunguni dhoop ka mujhe warna  subah choo jana nahi hota.
meri hi tarah kaagaz pe sajata hoga duniya koi apni,
mere zehan me warna alfazon ka tarana nahi hota.
koi to hota hoga meri aarzu me kahin udaas,
mera bevajah yun hi khamosh hojana warna nahi hota.
likh raha hoga is waqt meri kahani kahin pe zaroor koi,
mere haathon me warna kalam aur kaagaz pe uska afsaana nahi hota....