Tuesday 26 April 2011

Kataar..


Insaan ki bebasi dekhni ho to dekhiye koi 'kataar'
bijli ka bill bharna ho ya  karna ho shadi samaroh me vyavhaar..
ek ke peeche ek khade hon kai log to samjh lijiye yahi hai kataar.
insaan ki sabse badi pareshani or jhunjhlahat ka saakshat pramaan,
dhakka maar maar ke bhi sunte rahiye ''aap kataar me hain shreeman''
school ki prayer me kataar, college ki library me kataar.
paanipoori ke liye kataar aur multiplex ke popcorn me bhi kataar.
Sangharsh ki seema to dekhiye ke bhagwan ke darshan me kataar aur
Sarkari sulabh suvidhaon me bhi kataar.
kataar choti dekh kar, apni baari aane ka hausla aajata hai,
lambi ho agar kataar to kuch der baad kataar, kataar nahi yuddh ka maidan ban jata hai.
Dhakka kyu derahe ho? zyada jaldi ho rahi hai tumhe?
arey ye auraten beech me ghus rahi hain, yaar zara hatao inhe!!
bade aam se alfaaz kabhi gaaliyan ban kar baras padte hain,
kataar ka kamaal dekhiye, kya padhe likhe or kya anpadh sab jaanwaron ki tarah jhagad padte hain.
kataar me hoti hai baaten jaan pahchan,dushmani or yaari ki bhi.
sarkaar,cinema,bazaar or yahan tak ke tarkaari ki bhi.
umar chahe jo bhi ho, kaam chahe jo bhi ho, kataar to lagani hi padti hai
toot ke bikhar jaye kataar to jaan lijiye ke aksar police bhi bulani padti hai.
khair jo bhi ho,jaisi bhi ho, kataar aakhir khatam ho hi jati hai.
aur samajhdaar log kahte hain ke har kataar har bar kuch naya sikha hi jati hai....



Friday 22 April 2011

Foodie sentiments...


Zindagi kuch yun ho chali hai jaise bina tadke ki daal.
Jaise sher ke upar Gadhe ki khaal.
Jaise bina masale ka plain dosa..,
Jaise bina chatni ke  samosa..
Lagta hai ki jaise kuch ahoora hai,
zindagi aur kuch nahi, nonstick pan per bana vilayti bhatoora hai.
Pahle the yaaron American Chopsy jaise thaath.
per ab to hai jaise simple wali aloo chaat.
Nahi milegi Finger chips cheese sandwich ke saath., ye main kaise maan jaaun.??
Paav Bhhaji bina butter ki?? bolo aakhir kaise kha jaaun..??
Dil mera karta hai CCD ka Litchi Thanda pee aaun.
shimla wale creamy momos khaane jaldi se bhaag jaaun.
Ghalib ye kaisi majboori hai ke Maggie se kaam chalana pad raha hai,
aisa lagta hai jaise  pineapple shek ke beech me pineapple ka chilka muh me aaraha hai.
bas ab yehi tamanna hai ke zindagi fir se line per aajaye.
Ghalib kuch aisa ho ke Mango frooty se  meri straw red sula wine me aajaye.;)


Sunday 17 April 2011

Yaad


soona soona ye gulshan hai, gumsum se phool hain.
ruswaaiyan ujaalon me hain, tanha chirag hai.
rang bhi ab toh paas nahi hain, khaali ye haath hain.
hansna bhi chahu main agar na rooh meri saath hai.
yaar mere kuch begaane the, sab kuch hi le gaye.
mujhse rukna rukna   kahkar khud hi chale gaye....

Thursday 14 April 2011

Shayad Kuch Badal Jaaye..



yunhi sochte huye ye din kat jata hai,
ke shayad kuch badal jaaye.
wo din mere wapas aajayen, raaten meri phir laut aayen.
wo befikri jeene me, wo har waqt muskurana,
hazaron khwahishen dil ki, aur har khwahish ka poora hojana.
Ummeeden itni badi nahi hoti thi meri us waqt,
hota tha bas kabhi dil ka machal jana.
betuki meri wo hansi or bewajah mera rooth jaana.
kitni baaten hoti thi aur kitne sawal hote the,
sab kuch accha lagta tha aur saare jawab mil jaate the.
chalte chlate gir jaana or gir ke phir sambhal jaana.
galtiyan karte rahna aur karke phir bhool jaana.
sab kuch aisa lagta tha jaise ke behad aam hai.
kaha karte the sab yahi ke jeena isi ka naam hai.
wo waqt ab raha nahi ke yaad un lamhon ko kiya jaaye.
per sach ye bhi hai ke yaad muqammal hoti hai, isse bachker bhi akhir kahan jaayen.
vaade ab nibhane ke liye nahi hote, na dosti na kisi rishte ka koi bharosa hai,
kis kis pe ilzaam lagaoge 'ghalib', jaante ho jab ke saara zamana hi aisa hai.
khushi ab kahan hoti hai aankhon me aur kahan hota hai khushi ke aasuon ka aana,
Rona to ab bhi aata hai kisi kisi baat pe, per log banate hain aankh me kuch gir jaane ka bahaana.
Kabhi zindagi se itna maang lete hain log, ke khud zindagi hairaan hoti hai,
hairaani ye nahi ke maanga hai sab apne liye,taajjub ye hai ke usme bas insaaniyat nahi hoti hai.
har shaks ka apna makaan hai apni apni sabki gali hai,
Ghar ab koi banata nahi,'ghalib', duniya badi peshewar ho chali hai.
mujhe shauk aata hai ke 'kaarigar' duniya ka ab zara yahan tahal ke dikhaye,
per yunhi sochte huye shayad uske bhi din guzarte honge 
ke shayad kuch badal jaaye...

Wednesday 13 April 2011

Koi aur bhi...

Dekhta hoga koi aur bhi is aasma ko mere saath,
yunhi in baadalon ka is paar se us paar aana nahi hota.
Karta hoga koi meri hi tarah raaton me sitaaron se baaten,
meri khidki se warna  kisi taare ka aksar toot jana nahi hota.
meri tarah khwabon ki roshni me rahta hoga zaroor koi,
gunguni dhoop ka mujhe warna  subah choo jana nahi hota.
meri hi tarah kaagaz pe sajata hoga duniya koi apni,
mere zehan me warna alfazon ka tarana nahi hota.
koi to hota hoga meri aarzu me kahin udaas,
mera bevajah yun hi khamosh hojana warna nahi hota.
likh raha hoga is waqt meri kahani kahin pe zaroor koi,
mere haathon me warna kalam aur kaagaz pe uska afsaana nahi hota....