Thursday 14 April 2011

Shayad Kuch Badal Jaaye..



yunhi sochte huye ye din kat jata hai,
ke shayad kuch badal jaaye.
wo din mere wapas aajayen, raaten meri phir laut aayen.
wo befikri jeene me, wo har waqt muskurana,
hazaron khwahishen dil ki, aur har khwahish ka poora hojana.
Ummeeden itni badi nahi hoti thi meri us waqt,
hota tha bas kabhi dil ka machal jana.
betuki meri wo hansi or bewajah mera rooth jaana.
kitni baaten hoti thi aur kitne sawal hote the,
sab kuch accha lagta tha aur saare jawab mil jaate the.
chalte chlate gir jaana or gir ke phir sambhal jaana.
galtiyan karte rahna aur karke phir bhool jaana.
sab kuch aisa lagta tha jaise ke behad aam hai.
kaha karte the sab yahi ke jeena isi ka naam hai.
wo waqt ab raha nahi ke yaad un lamhon ko kiya jaaye.
per sach ye bhi hai ke yaad muqammal hoti hai, isse bachker bhi akhir kahan jaayen.
vaade ab nibhane ke liye nahi hote, na dosti na kisi rishte ka koi bharosa hai,
kis kis pe ilzaam lagaoge 'ghalib', jaante ho jab ke saara zamana hi aisa hai.
khushi ab kahan hoti hai aankhon me aur kahan hota hai khushi ke aasuon ka aana,
Rona to ab bhi aata hai kisi kisi baat pe, per log banate hain aankh me kuch gir jaane ka bahaana.
Kabhi zindagi se itna maang lete hain log, ke khud zindagi hairaan hoti hai,
hairaani ye nahi ke maanga hai sab apne liye,taajjub ye hai ke usme bas insaaniyat nahi hoti hai.
har shaks ka apna makaan hai apni apni sabki gali hai,
Ghar ab koi banata nahi,'ghalib', duniya badi peshewar ho chali hai.
mujhe shauk aata hai ke 'kaarigar' duniya ka ab zara yahan tahal ke dikhaye,
per yunhi sochte huye shayad uske bhi din guzarte honge 
ke shayad kuch badal jaaye...

3 comments: